کیا کچھ نہ کیا اور ہیں کیا کچھ نہیں کرتے
Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 7 sher · Roman Urdu ke saath
kyā kuchh na kiyā aur haiñ kyā kuchh nahīñ kartekuchh karte haiñ aisā ba-ḳhudā kuchh nahīñ karte
apne maraz-e-ġham kā hakīm aur koī haiham aur tabīboñ kī davā kuchh nahīñ karte
mālūm nahīñ ham se hijāb un ko hai kaisāauroñ se to vo sharm o hayā kuchh nahīñ karte
go karte haiñ zāhir ko safā ahl-e-kudūratpar dil ko nahīñ karte safā kuchh nahīñ karte
vo dilbarī ab tak mirī kuchh karte haiñ lekintāsīr tire naale dilā kuchh nahīñ karte
dil ham ne diyā thā tujhe ummīd-e-vafā partum ham se nahīñ karte vafā kuchh nahīñ karte
karte haiñ vo is tarah 'zafar' dil pe jafā.eñzāhir meñ ye jaano ki jafā kuchh nahīñ karte