رمزِ زندگیRamz E Zindagi

مر گئے اے واہ ان کی ناز برداری میں ہم

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 9 sher · Roman Urdu ke saath

mar ga.e ai vaah un kī nāz-bardārī meñ hamdil ke hāthoñ se paḌe kaisī giraftārī meñ ham
sab pe raushan hai hamārī sozish-e-dil bazm meñsham.a saañ jalte haiñ apnī garm-bāzārī meñ ham
yaad meñ hai tere dam kī āmad-o-shud pur-ḳhayālbe-ḳhabar sab se haiñ is dam kī ḳhabardārī meñ ham
jab hañsāyā gardish-e-gardūñ ne ham ko shakl-e-gulmisl-e-shabnam haiñ hamesha girya o zaarī meñ ham
chashm o dil biinā hai apne roz o shab ai mardumāñgarche sote haiñ ba-zāhir par haiñ bedārī meñ ham
dosh par raḳht-e-safar bāñdhe hai kyā ġhuncha sabādekhte haiñ sab ko yaañ jaise ki tayyārī meñ ham
kab talak be-dīd se yā rab rakheñ chashm-e-vafālag rahe haiñ aaj kal to dil kī ġham-ḳhvārī meñ ham
dekh kar ā.īna kyā kahtā hai yaaro ab vo shoḳhmaah se sad chand behtar haiñ adā-dārī meñ ham
ai 'zafar' likh tū ġhazal bahr o qavāfī pher karḳhāma-e-dur-rez se haiñ ab guhar-bārī meñ ham