رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ٹکڑے نہیں ہیں آنسوؤں میں دل کے چار پانچ

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 17 sher · Roman Urdu ke saath

TukḌe nahīñ haiñ āñsuoñ meñ dil ke chaar pāñchsurḳhāb baiThe paanī meñ haiñ mil ke chaar pāñch
muñh khole haiñ ye zaḳhm jo bismil ke chaar pāñchphir leñge bose ḳhanjar-e-qātil ke chaar pāñch
kahne haiñ matlab un se hameñ dil ke chaar pāñchkyā kahiye ek muñh haiñ vahāñ mil ke chaar pāñch
dariyā meñ gir paḌā jo mirā ashk ek garmbut-ḳhāne lab pe ho ga.e sāhil ke chaar pāñch
do-chār lāshe ab bhī paḌe tere dar pe haiñaur aage dab chuke haiñ tale gil ke chaar pāñch
rāheñ haiñ do majāz o haqīqat hai jin kā naamraste nahīñ haiñ ishq kī manzil ke chaar pāñch
ranj o taab musībat o ġham yaas o dard o daaġhaah o fuġhāñ rafīq haiñ ye dil ke chaar pāñch
do tiin jhaTke duuñ juuñ hī vahshat ke zor meñzindāñ meñ TukḌe hoveñ salāsil ke chaar pāñch
farhād o qais o vāmiq o azrā the chaar dostab ham bhī aa mile to hue mil ke chaar pāñch
naaz o adā o ġhamza nigah panja-e-mizhamāreñ haiñ ek dil ko ye pil pil ke chaar pāñch
iimā hai ye ki deveñge nau din ke baad dillikh bheje ḳhat meñ sher jo be-dil ke chaar pāñch
hiire ke nau-ratan nahīñ tere hue haiñ jamāye chāñdnī ke phuul magar khil ke chaar pāñch
mīnā-e-nuh-falak hai kahāñ bāda-e-nashātshīshe haiñ ye to zahr-e-halāhal ke chaar pāñch
nāḳhun kareñ haiñ zaḳhmoñ ko do do milā ke ekthe aaTh das so ho ga.e ab chhil ke chaar pāñch
gar anjum-e-falak se bhī tādād kījiyenikleñ ziyāda daaġh mire dil ke chaar pāñch
māreñ jo sar pe sil ko uThā kar qalaq se hamdas pāñch TukḌe sar ke hoñ aur sil ke chaar pāñch
maan ai 'zafar' tū panj-tan o chār-yār kohaiñ sadar-e-dīn kī yahī mahfil ke chaar pāñch