وہ سو سو اٹھکھٹوں سے گھر سے باہر دو قدم نکلے
Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 12 sher · Roman Urdu ke saath
vo sau sau aTkhaToñ se ghar se bāhar do qadam niklebalā se us kī gar us meñ kisī muztar kā dam nikle
kahāñ aañsū ke qatre ḳhūn-e-dil se haiñ baham nikleye dil meñ jam.a the muddat se kuchh paikān-e-ġham nikle
mire mazmūn-e-soz-e-dil se ḳhat sab jal gayā merāqalam se harf jo nikle sharar hī yak-qalam nikle
nikāl ai chāragar tū shauq se lekin sar-e-paikāñudhar nikle jigar se tiir udhar qālib se dam nikle
tasavvur se lab-e-la.alīñ ke tere ham agar ro deñto jo laḳht-e-jigar āñkhoñ se nikle ik raqam nikle
nahīñ Darte agar hoñ laakh zindāñ yaar zindāñ sejunūn ab to misāl-e-nāla-e-zanjīr ham nikle
jigar par daaġh lab par dūd-e-dil aur ashk dāman meñtirī mahfil se ham mānind-e-sham.a sub.h-dam nikle
agar hotā zamāna gesū-e-shab-rañg kā teremirī shab-dīz saudā kā ziyāda-tar qadam nikle
kajī jin kī tabī.at meñ hai kab hotī vo sīdhī haikaho shāḳh-e-gul-e-tasvīr se kis tarah ḳham nikle
shumār ik shab kiyā ham ne jo apne dil ke dāġhoñ seto anjum charḳh-e-hashtum ke bahut se un se kam nikle
ḳhudā ke vāste zāhid uThā parda na kaabe kākahīñ aisā na ho yaañ bhī vahī kāfir-sanam nikle
tamannā hai ye dil meñ jab talak hai dam meñ dam apne'zafar' muñh se hamāre naam us kā dam-ba-dam nikle