رمزِ زندگیRamz E Zindagi

گالیاں تنخواہ ٹھہری ہے اگر بٹ جائے گی

Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 7 sher · Roman Urdu ke saath

gāliyāñ tanḳhvāh Thahrī hai agar baT jā.egīāshiqoñ ke ghar miThā.ī lab shakar baT jā.egī
rū-ba-rū gar hogā yūsuf aur tū aa jā.egāus kī jānib se zuleḳhā kī nazar baT jā.egī
rahzanoñ meñ nāz-o-ġhamza kī ye jins-e-dīn-o-diljuuñ matā-e-burda āḳhir ham-digar baT jā.egī
hogā kyā gar bol uTThe ġhair bātoñ meñ mirīphir tabī.at merī ai bedād gar baT jā.egī
daulat-e-duniyā nahīñ jaane kī hargiz tere saathbaad tere sab yahīñ ai be-ḳhabar baT jā.egī
kar le ai dil jaan ko bhī ranj-o-ġham meñ tū sharīkye jo mehnat tujh pe hai kuchh kuchh magar baT jā.egī
muuñg chhātī pe jo dalte haiñ kisī kī dekhnājūtiyoñ meñ daal un kī ai 'zafar' baT jā.egī