گئی یک بہ یک جو ہوا پلٹ نہیں دل کو میرے قرار ہے
Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 10 sher · Roman Urdu ke saath
ga.ī yak-ba-yak jo havā palaT nahīñ dil ko mere qarār haikarūñ us sitam ko maiñ kyā bayāñ mirā ġham se siina figār hai
ye re.āyā-e-hind tabah huī kahūñ kyā jo in pe jafā huījise dekhā hākim-e-vaqt ne kahā ye bhī qābil-e-dār hai
ye kisī ne zulm bhī hai sunā ki dī phāñsī logoñ ko be-gunāhvahī kalma-goyoñ kī samt se abhī dil meñ un ke buḳhār hai
na thā shahr-e-dehlī ye thā chaman kaho kis tarah kā thā yaañ amanjo ḳhitāb thā vo miTā diyā faqat ab to ujḌā dayār hai
yahī tañg haal jo sab kā hai ye karishma qudrat-e-rab kā haijo bahār thī so ḳhizāñ huī jo ḳhizāñ thī ab vo bahār hai
shab-o-roz phuul meñ jo tule kaho ḳhār-e-ġham ko vo kyā sahemile tauq qaid meñ jab unheñ kahā gul ke badle ye haar hai
sabhī jaada mātam-e-saḳht hai kaho kaisī gardish-e-baḳht haina vo taaj hai na vo taḳht hai na vo shaah hai na dayār hai
jo sulūk karte the aur se vahī ab haiñ kitne zalīl sevo haiñ tañg charḳh ke jaur se rahā tan pe un ke na taar hai
na vabāl tan pe hai sar mirā nahīñ jaan jaane kā Dar zarākaTe ġham hii, nikle jo dam mirā mujhe apnī zindagī baar hai
kyā hai ġham 'zafar' tujhe hashr kā jo ḳhudā ne chāhā to barmalāhameñ hai vasīla rasūl kā vo hamārā hāmī-e-kār hai