ہے دل کو جو یاد آئی فلک پیر کسی کی
Ghazal · Bahadur Shah Zafar · بہادر شاہ ظفر · 9 sher · Roman Urdu ke saath
hai dil ko jo yaad aa.ī falak-e-pīr kisī kīāñkhoñ ke tale phirtī hai tasvīr kisī kī
girya bhī hai naala bhī hai aur āh-o-fuġhāñ bhīpar dil meñ huī us ke na tāsīr kisī kī
haath aa.e hai kyā ḳhaak tire ḳhāk-e-kaf-e-pājab tak ki na qismat meñ ho iksīr kisī kī
yaaro vo hai bigḌā huā bāteñ na banāokuchh pesh nahīñ jaane kī taqrīr kisī kī
nāzāñ na ho mun.im ki jahāñ terā mahal haihovegī yahāñ pahle bhī ta.amīr kisī kī
merī girah-e-dil na khulī hai na khulegījab tak na khule zulf-e-girah-gīr kisī kī
aatā bhī agar hai to vo phir jaa.e hai ulTājis vaqt ulaT jaa.e hai taqdīr kisī kī
is abrū o mizhgāñ se 'zafar' tez ziyādaḳhanjar na kisī kā hai na shamshīr kisī kī
jo dil se udhar jaa.e nazar dil ho giraftārmujrim ho koī aur ho taqsīr kisī kī