شاہد مقصود تک پہنچیں گے کیونکر دیکھیےبند ہے باب تمنا ہے غضب کھلتا نہیںshāhid-e-maqsūd tak pahuñcheñge kyūñkar dekhiyeband hai bāb-e-tamannā hai ġhazab khultā nahīñUmeedبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کیونکہ ہم دنیا میں آئے کچھ سبب کھلتا نہیںاک سبب کیا بھید واں کا سب کا سب کھلتا نہیںkyūñki ham duniyā meñ aa.e kuchh sabab khultā nahīñik sabab kyā bhed vaañ kā sab kā sab khultā nahīñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
پوچھتا ہے حال بھی گر وہ تو مارے شرم کےغنچۂ تصویر کے مانند لب کھلتا نہیںpūchhtā hai haal bhī gar vo to maare sharm keġhuncha-e-tasvīr ke mānind lab khultā nahīñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
بند ہے جس خانۂ زنداں میں دیوانہ تیرااس کا دروازہ پری رو روز و شب کھلتا نہیںband hai jis ḳhāna-e-zindāñ meñ dīvāna terāus kā darvāza parī-rū roz o shab khultā nahīñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
دل ہے یہ غنچہ نہیں ہے اس کا عقدہ اے صباکھولنے کا جب تلک آوے نہ ڈھب کھلتا نہیںdil hai ye ġhuncha nahīñ hai is kā uqda ai sabākholne kā jab talak aave na Dhab khultā nahīñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
بھلا ہو افسردہ خاطری کا کہ حسرتوں کو دبا کے رکھابچا لیا ہرزگی سے اس نے لحاظ ناموس و ننگ ہو کرbhalā ho afsurda-ḳhātirī kā ki hasratoñ ko dabā ke rakkhābachā liyā harzagī se us ne lihāz-e-nāmūs-o-nañg ho karنظم طباطبائیNazm Tabatabai
زیر فلک تو ہم سے جاتی نہیں تمناہاں پھر فلک پہ جاویں جب ہم سے جائے مطلبنظیر اکبرآبادیNazeer Akbarabadi
جب سر میں ہوائے طاعت تھی سرسبز شجر امید کا تھاجب صرصر عصیاں چلنے لگی اس پیڑ نے پھلنا چھوڑ دیاjab sar meñ havā-e-tā.at thī sarsabz shajar ummīd kā thājab sar-sar-e-isyāñ chalne lagī is peḌ ne phalnā chhoḌ diyāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
ان حسرتوں سے کہہ دو کہیں اور جا بسیںاتنی جگہ کہاں ہے دل داغدار میںin hasratoñ se kah do kahīñ aur jā baseñitnī jagah kahāñ hai dil-e-dāġh-dār meñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar