محبت چاہیے باہم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہوخوشی ہو اس میں یا ہو غم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہوmohabbat chāhiye bāham hameñ bhī ho tumheñ bhī hoḳhushī ho is meñ yā ho ġham hameñ bhī ho tumheñ bhī hoIshqGhamبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
غنیمت تم اسے سمجھو کہ اس خم خانہ میں یارونصیب اک دم دل خرم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہوġhanīmat tum ise samjho ki is ḳhum-ḳhāne meñ yaaronasīb ik-dam dil-e-ḳhurram hameñ bhī ho tumheñ bhī hoبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
دلاؤ حضرت دل تم نہ یاد خط سبز اس کاکہیں ایسا نہ ہو یہ سم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہوdilāo hazrat-e-dil tum na yād-e-ḳhat-e-sabz us kākahīñ aisā na ho ye sam hameñ bhī ho tumheñ bhī hoبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ہمیشہ چاہتا ہے دل کہ مل کر کیجے مے نوشیمیسر جام مے جم جم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہوhamesha chāhtā hai dil ki mil kar kiije mai-noshīmayassar jām-e-mai-e-jam-jam hameñ bhī ho tumheñ bhī hoبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ہم اپنا عشق چمکائیں تم اپنا حسن چمکاؤکہ حیراں دیکھ کر عالم ہمیں بھی ہو تمہیں بھی ہوham apnā ishq chamkā.eñ tum apnā husn chamkāoki hairāñ dekh kar aalam hameñ bhī ho tumheñ bhī hoبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
وہ دل کہاں ہے اب کہ جسے پیار کیجیےمجبوریاں ہیں ساتھ دئیے جا رہا ہوں میںvo dil kahāñ hai ab ki jise pyaar kījiyemajbūriyāñ haiñ saath diye jā rahā huuñ maiñجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
جیوں سراج اس شمع رو پر دل کوں ہے ملنے کا شوقفرض عین عاشقی سیں اب ادا ہو جائے گاسراج اورنگ آبادیSiraj Aurangabadi
ہمارے ساتھ ہی پیدا ہوا ہے عشق اے ناصحجدائی کس طرح سے ہو جدا توام بھی ہوتے ہیںhamāre saath hī paidā huā hai ishq ai nāsehjudā.ī kis tarah se ho judā tavām bhī hote haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi