رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آہ جو دل سے نکالی جائے گی

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 5 sher · Roman Urdu ke saath

aah jo dil se nikālī jā.egīkyā samajhte ho ki ḳhālī jā.egī
is nazākat par ye shamshīr-e-jafāaap se kyūñkar sambhālī jā.egī
kyā ġham-e-duniyā kā Dar mujh riñd koaur ik botal chaḌhā lī jā.egī
shaiḳh kī dāvat meñ mai kā kaam kyāehtiyātan kuchh mañgā lī jā.egī
yād-e-abrū meñ hai 'akbar' mahv yuuñkab tirī ye kaj-ḳhayālī jā.egī