گلے لگائیں کریں پیار تم کو عید کے دن
Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 8 sher · Roman Urdu ke saath
gale lagā.eñ kareñ pyaar tum ko eid ke dinidhar to aao mire gul-ezār eid ke din
ġhazab kā husn hai ārā.isheñ qayāmat kīayaañ hai qudrat-e-parvardigār eid ke din
sambhal sakī na tabī.at kisī tarah merīrahā na dil pe mujhe iḳhtiyār eid ke din
vo saal bhar se kudūrat bharī jo thī dil meñvo duur ho ga.ī bas ek baar eid ke din
lagā liyā unheñ siine se josh-e-ulfat meñġharaz ki aa hī gayā mujh ko pyaar eid ke din
kahīñ hai naġhma-e-bulbul kahīñ hai ḳhanda-e-gulayaañ hai josh-e-shabāb-e-bahār eid ke din
sivayyāñ duudh shakar meva sab muhayyā haimagar ye sab hai mujhe nāgavār eid ke din
mile agar lab-e-shīrīñ kā tere ik bosato lutf ho mujhe albatta yaar eid ke din