رمزِ زندگیRamz E Zindagi

خوشی ہے سب کو کہ آپریشن میں خوب نشتر یہ چل رہا ہے

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 7 sher · Roman Urdu ke saath

ḳhushī hai sab ko ki operation meñ ḳhuub nishtar ye chal rahā haikisī ko is kī ḳhabar nahīñ hai marīz kā dam nikal rahā hai
fanā isī rañg par hai qaa.im falak vahī chaal chal rahā haishikasta o muntashir hai vo kal jo aaj sāñche meñ Dhal rahā hai
ye dekhte ho jo kāsa-e-sar ġhurūr-e-ġhaflat se kal thā mamlūyahī badan naaz se palā thā jo aaj miTTī meñ gal rahā hai
samajh ho jis kī balīġh samjhe nazar ho jis kī vasī.a dekheabhī yahāñ ḳhaak bhī uḌegī jahāñ ye qulzum ubal rahā hai
kahāñ kā sharqī kahāñ kā ġharbī tamām dukh sukh hai ye masāvīyahāñ bhī ik bā-murād ḳhush hai vahāñ bhī ik ġham se jal rahā hai
urūj-e-qaumī zavāl-e-qaumī ḳhudā kī qudrat ke haiñ karishmehamesha radd-o-badal ke andar ye amr political rahā hai
maza hai spēch kā dinner meñ ḳhabar ye chhaptī hai pionēr meñfalak kī gardish ke saath hī saath kaam yāroñ kā chal rahā hai