رمزِ زندگیRamz E Zindagi

تری زلفوں میں دل الجھا ہوا ہے

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 8 sher · Roman Urdu ke saath

tirī zulfoñ meñ dil uljhā huā haibalā ke pech meñ aayā huā hai
na kyūñkar bū-e-ḳhūñ naame se aa.eusī jallād kā likkhā huā hai
chale duniyā se jis kī yaad meñ hamġhazab hai vo hameñ bhūlā huā hai
kahūñ kyā haal aglī ishratoñ kāvo thā ik ḳhvāb jo bhūlā huā hai
jafā ho yā vafā ham sab meñ ḳhush haiñkareñ kyā ab to dil aTkā huā hai
huī hai ishq hī se husn kī qadrhamīñ se aap kā shohrā huā hai
butoñ par rahtī hai maa.il hameshatabī.at ko ḳhudāyā kyā huā hai
pareshāñ rahte ho din raat 'akbar'ye kis kī zulf kā saudā huā hai