رمزِ زندگیRamz E Zindagi

انہیں نگاہ ہے اپنے جمال ہی کی طرف

Ghazal · Akbar Allahabadi · اکبر الہ آبادی · 14 sher · Roman Urdu ke saath

unheñ nigāh hai apne jamāl hī kī tarafnazar uThā ke nahīñ dekhte kisī kī taraf
tavajjoh apnī ho kyā fann-e-shā.irī kī tarafnazar har ek kī jaatī hai aib hī kī taraf
likhā huā hai jo ronā mire muqaddar meñḳhayāl tak nahīñ jaatā kabhī hañsī kī taraf
tumhārā saaya bhī jo log dekh lete haiñvo aañkh uThā ke nahīñ dekhte parī kī taraf
balā meñ phañstā hai dil muft jaan jaatī haiḳhudā kisī ko na le jaa.e us galī kī taraf
kabhī jo hotī hai takrār ġhair se ham seto dil se hote ho dar-parda tum usī kī taraf
nigāh paḌtī hai un par tamām mahfil kīvo aañkh uThā ke nahīñ dekhte kisī kī taraf
nigāh us but-e-ḳhud-bīñ kī hai mire dil parna aa.ine kī taraf hai na aarsī kī taraf
qubūl kījiye lillāh tohfa-e-dil konazar na kījiye is kī shikastagī kī taraf
yahī nazar hai jo ab qātil-e-zamāna huīyahī nazar hai ki uThtī na thī kisī kī taraf
ġharīb-ḳhāna meñ lillāh do-ghaḌī baiThobahut dinoñ meñ tum aa.e ho is galī kī taraf
zarā sī der hī ho jā.egī to kyā hogāghaḌī ghaḌī na uThāo nazar ghaḌī kī taraf
jo ghar meñ pūchhe koī ḳhauf kyā hai kah denāchale ga.e the Tahalte hue kisī kī taraf
hazār jalva-e-husn-e-butāñ ho ai 'akbar'tum apnā dhyān lagā.e raho usī kī taraf