اب وہ یہ کہہ رہے ہیں مری مان جائیے
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 22 sher · Roman Urdu ke saath
ab vo ye kah rahe haiñ mirī maan jā.iyeallāh terī shaan ke qurbān jā.iye
bigḌe hue mizāj ko pahchān jā.iyesīdhī tarah na māniyegā maan jā.iye
kis kā hai ḳhauf rokne vaalā hī kaun haihar roz kyuuñ na jā.iye mehmān jā.iye
mahfil meñ kis ne aap ko dil meñ chhupā liyāitnoñ meñ kaun chor hai pahchān jā.iye
haiñ tevrī meñ bal to nigāheñ phirī huījaate haiñ aise aane se ausān jā.iye
do mushkileñ haiñ ek jatāne meñ shauq kepahle to jaan jā.iye phir maan jā.iye
insān ko hai ḳhāna-e-hastī meñ lutf kyāmehmān aa.iye to pashemān jā.iye
go vāda-e-visāl ho jhūTā maza to haikyuuñ kar na aise jhuuT ke qurbān jā.iye
rah jaa.e ba.ad-e-vasl bhī cheTak lagī huīkuchh rakhiye kuchh nikāl ke armān jā.iye
achchhī kahī ki ġhair ke ghar tak zarā chalomaiñ aap kā nahīñ huuñ nigahbān jā.iye
aa.e haiñ aap ġhair ke ghar se khaḌe khaḌeye aur ko jatā.iye ehsān, jā.iye
donoñ se imtihān-e-vafā par ye kah diyāmanvā.iye raqīb ko yā maan jā.iye
kyā bad-gumāniyāñ haiñ unheñ mujh ko hukm haighar meñ ḳhudā ke bhī to na mehmān jā.iye
kyā farz hai ki sab mirī bāteñ qubūl haiñsun sun ke kuchh na māniye kuchh maan jā.iye
saudā.iyān-e-zulf meñ kuchh to laTak bhī hojannat meñ jā.iye to pareshān jā.iye
dil ko jo dekh lo to yahī pyaar se kahoqurbān jā.iye tire qurbān jā.iye
dil ko jo dekh lo to yahī pyaar se kahoqurbān jā.iye tire qurbān jā.iye
jaane na dūñgā aap ko be-faisla huedil ke muqaddame ko abhī chhān jā.iye
ye to bajā ki aap ko duniyā se kyā ġharazjaatī hai jis kī jaan use jaan jā.iye
ġhusse meñ haath se ye nishānī na gir paḌedāman meñ le ke merā garebān jā.iye
ye muḳhtasar javāb milā arz-e-vasl pardil māntā nahīñ ki tirī maan jā.iye
vo āzmūda-kār to hai gar valī nahīñjo kuchh batā.e 'dāġh' use maan jā.iye