تماشائے دیر و حرم دیکھتے ہیں
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 15 sher · Roman Urdu ke saath
tamāshā-e-dair-o-haram dekhte haiñtujhe har bahāne se ham dekhte haiñ
hamārī taraf ab vo kam dekhte haiñvo nazreñ nahīñ jin ko ham dekhte haiñ
zamāne ke kyā kyā sitam dekhte haiñhamīñ jānte haiñ jo ham dekhte haiñ
phire but-kade se to ai ahl-e-ka.abaphir aa kar tumhāre qadam dekhte haiñ
hameñ chashm-e-bīnā dikhātī hai sab kuchhvo andhe haiñ jo jām-e-jam dekhte haiñ
na īmā-e-ḳhvāhish na iz.hār-e-matlabmire muñh ko ahl-e-karam dekhte haiñ
kabhī toḌte haiñ vo ḳhanjar ko apnekabhī nabz-e-bismil meñ dam dekhte haiñ
ġhanīmat hai chashm-e-taġhāful bhī un kībahut dekhte haiñ jo kam dekhte haiñ
ġharaz kyā ki samjheñ mire ḳhat kā mazmūñvo unvān o tarz-e-raqam dekhte haiñ
salāmat rahe dil burā hai ki achchhāhazāroñ meñ ye ek dam dekhte haiñ
rahā kaun mahfil meñ ab aane vaalāvo chāroñ taraf dam-ba-dam dekhte haiñ
udhar sharm haa.il idhar ḳhauf maanena vo dekhte haiñ na ham dekhte haiñ
unheñ kyuuñ na ho dilrubā.ī se nafratki har dil meñ vo ġham alam dekhte haiñ
nigahbāñ se bhī kyā huī bad-gumānīab us ko tire saath kam dekhte haiñ
hameñ 'dāġh' kyā kam hai ye sarfarāzīki shāh-e-dakan ke qadam dekhte haiñ