رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ان کے اک جاں نثار ہم بھی ہیں

Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 16 sher · Roman Urdu ke saath

un ke ik jāñ-nisār ham bhī haiñhaiñ jahāñ sau hazār ham bhī haiñ
tum bhī bechain ham bhī haiñ bechaintum bhī ho be-qarār ham bhī haiñ
ai falak kah to kyā irāda haiaish ke ḳhvāst-gār ham bhī haiñ
khīñch lā.egā jazb-e-dil un kohama tan intizār ham bhī haiñ
bazm-e-dushman meñ le chalā hai dilkaise be-iḳhtiyār ham bhī haiñ
shahr ḳhālī kiye dukāñ kaisīek hī bāda-ḳhvār ham bhī haiñ
sharm samjhe tire taġhāful kovaah kyā hoshiyār ham bhī haiñ
haath ham se milāo ai muusāāshiq-e-rū-e-yār ham bhī haiñ
ḳhvāhish-e-bāda-e-tuhūr nahīñkaise parhez-gār ham bhī haiñ
tum agar apnī guuñ ke ho ma.ashūqapne matlab ke yaar ham bhī haiñ
jis ne chāhā phañsā liyā ham kodilbaroñ ke shikār ham bhī haiñ
aa.ī mai-ḳhāne se ye kis kī sadālaao yāroñ ke yaar ham bhī haiñ
le hī to legī dil nigāh tirīhar tarah hoshiyār ham bhī haiñ
idhar aa kar bhī fātiha paḌh loaaj zer-e-mazār ham bhī haiñ
ġhair kā haal pūchhiye ham seus ke jalse ke yaar ham bhī haiñ
kaun sā dil hai jis meñ 'dāġh' nahīñishq meñ yādgār ham bhī haiñ