زاہد نہ کہہ بری کہ یہ مستانے آدمی ہیں
Ghazal · Dagh Dehlvi · داغؔ دہلوی · 11 sher · Roman Urdu ke saath
zāhid na kah burī ki ye mastāne aadmī haiñtujh ko lipaT paḌeñge dīvāne aadmī haiñ
ġhairoñ kī dostī par kyuuñ e'tibār kiijeye dushmanī kareñge begāne aadmī haiñ
jo aadmī pe guzrī vo ik sivā tumhārekyā jī lagā ke sunte afsāne aadmī haiñ
kyā jur.ateñ jo ham ko darbāñ tumhārā Tokekah do ki ye to jāne-pahchāne aadmī haiñ
mai buuñd bhar pilā kar kyā hañs rahā hai saaqībhar bhar ke piite āḳhir paimāne aadmī haiñ
tum ne hamāre dil meñ ghar kar liyā to kyā haiābād karte āḳhir vīrāne aadmī haiñ
nāseh se koī kah de kiije kalām aisāhazrat ko tā ki koī ye jaane aadmī haiñ
jab dāvar-e-qayāmat pūchhegā tum pe rakh karkah deñge saaf ham to begāne aadmī haiñ
maiñ vo bashar ki mujh se har aadmī ko nafrattum sham.a vo ki tum par parvāne aadmī haiñ
mahfil bharī huī hai saudā.iyoñ se us kīus ġhairat-e-parī par dīvāne aadmī haiñ
shābāsh 'dāġh' tujh ko kyā teġh-e-ishq khaa.ījī karte haiñ vahī jo mardāne aadmī haiñ