عرض نیاز عشق کے قابل نہیں رہا
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 13 sher · Roman Urdu ke saath
arz-e-niyāz-e-ishq ke qābil nahīñ rahājis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā
jaatā huuñ dāġh-e-hasrat-e-hastī liye huehuuñ sham-e-kushta dar-ḳhur-e-mahfil nahīñ rahā
marne kī ai dil aur hī tadbīr kar ki maiñshāyān-e-dast-o-bāzū-e-qātil nahīñ rahā
bar-rū-e-shash-jahat dar-e-ā.īna baaz haiyaañ imtiyāz-e-nāqis-o-kāmil nahīñ rahā
vā kar diye haiñ shauq ne band-e-naqāb-e-husnġhair-az-nigāh ab koī haa.il nahīñ rahā
go maiñ rahā rahīn-e-sitam-hā-e-rozgārlekin tire ḳhayāl se ġhāfil nahīñ rahā
dil se havā-e-kisht-e-vafā miT ga.ī ki vaañhāsil sivā.e hasrat-e-hāsil nahīñ rahā
bedād-e-ishq se nahīñ Dartā magar 'asad'jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā
har-chand maiñ huuñ tūti-e-shīrīñ-suḳhan valeā.īna aah mere muqābil nahīñ rahā
jāñ-dād-gāñ kā hausla fursat-gudāz haiyaañ arsa-e-tapīdan-e-bismil nahīñ rahā
huuñ qatra-zan ba-vādī-e-hasrat shabāna rozjuz tār-e-ashk jāda-e-manzil nahīñ rahā
ai aah merī ḳhātir-e-vābasta ke sivāduniyā meñ koī uqda-e-mushkil nahīñ rahā
andāz-e-nāla yaad haiñ sab mujh ko par 'asad'jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā