رمزِ زندگیRamz E Zindagi

مانع دشت نوردی کوئی تدبیر نہیں

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath

māna-e-dasht-navardī koī tadbīr nahīñek chakkar hai mire paañv meñ zanjīr nahīñ
shauq us dasht meñ dauḌāye hai mujh ko ki jahāñjaada ġhair az nigah-e-dīda-e-tasvīr nahīñ
hasrat-e-lazzat-e-āzār rahī jaatī haijāda-e-rāh-e-vafā juz dam-e-shamshīr nahīñ
rañj-e-naumīdi-e-jāved gavārā rahiyoḳhush huuñ gar nāla-zabūnī kash-e-tāsīr nahīñ
sar khujātā hai jahāñ zaḳhm-e-sar achchhā ho jaa.elazzat-e-sañg ba-andāza-e-taqrīr nahīñ
jab karam ruḳhsat-e-bebākī-o-gustāḳhī dekoī taqsīr ba-juz ḳhajlat-e-taqsīr nahīñ
'ġhālib' apnā ye aqīda hai ba-qaul-e-'nāsiḳh'aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mīr' nahīñ
'mīr' ke sher kā ahvāl kahūñ kyā 'ġhālib'jis kā dīvān kam-az-gulshan-e-kashmīr nahīñ
ā.īna daam ko parde meñ chhupātā hai abaski parī-zād-e-nazar qābil-e-tasḳhīr nahīñ
misl-e-gul zaḳhm hai merā bhī sināñ se tavvāmterā tarkash hī kuchh ābistanī-e-tīr nahīñ