رمزِ زندگیRamz E Zindagi

مدت ہوئی ہے یار کو مہماں کیے ہوئے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 17 sher · Roman Urdu ke saath

muddat huī hai yaar ko mehmāñ kiye huejosh-e-qadah se bazm charāġhāñ kiye hue
kartā huuñ jam.a phir jigar-e-laḳht-laḳht koarsa huā hai dāvat-e-mizhgāñ kiye hue
phir vaz-e-ehtiyāt se rukne lagā hai dambarsoñ hue haiñ chaak garebāñ kiye hue
phir garm-nāla-hā-e-sharar-bār hai nafasmuddat huī hai sair-e-charāġhāñ kiye hue
phir pursish-e-jarāhat-e-dil ko chalā hai ishqsāmān-e-sad-hazār namak-dāñ kiye hue
phir bhar rahā huuñ ḳhāma-e-mizhgāñ ba-ḳhūn-e-dilsāz-e-chaman tarāzi-e-dāmāñ kiye hue
bāham-digar hue haiñ dil o diida phir raqībnazzāra o ḳhayāl kā sāmāñ kiye hue
dil phir tavāf-e-kū-e-malāmat ko jaa.e haipindār kā sanam-kada vīrāñ kiye hue
phir shauq kar rahā hai ḳharīdār kī talabarz-e-matā-e-aql-o-dil-o-jāñ kiye hue
dauḌe hai phir har ek gul-o-lāla par ḳhayālsad-gulistāñ nigāh kā sāmāñ kiye hue
phir chāhtā huuñ nāma-e-dildār kholnājaañ nazr-e-dil-farebi-e-unvāñ kiye hue
māñge hai phir kisī ko lab-e-bām par havaszulf-e-siyāh ruḳh pe pareshāñ kiye hue
chāhe hai phir kisī ko muqābil meñ aarzūsurme se tez dashna-e-mizhgāñ kiye hue
ik nau-bahār-e-nāz ko taake hai phir nigāhchehra faroġh-e-mai se gulistāñ kiye hue
phir jī meñ hai ki dar pe kisī ke paḌe raheñsar zer-bār-e-minnat-e-darbāñ kiye hue
jī DhūñDtā hai phir vahī fursat ki raat dinbaiThe raheñ tasavvur-e-jānāñ kiye hue
'ġhālib' hameñ na chheḌ ki phir josh-e-ashk sebaiThe haiñ ham tahayya-e-tūfāñ kiye hue