رفتار عمر قطع رہ اضطراب ہے
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath
raftār-e-umr qat-e-rah-e-iztirāb haiis saal ke hisāb ko barq āftāb hai
mīnā-e-mai hai sarv nashāt-e-bahār sebāl-e-tadrrav jalva-e-mauj-e-sharāb hai
zaḳhmī huā hai pāshna pā-e-sabāt kāne bhāgne kī guuñ na iqāmat kī taab hai
jādād-e-bāda-noshī-e-rindāñ hai shash-jihatġhāfil gumāñ kare hai ki getī ḳharāb hai
nazzāra kyā harīf ho us barq-e-husn kājosh-e-bahār jalve ko jis ke naqāb hai
maiñ nā-murād dil kī tasallī ko kyā karūñmaanā ki tere ruḳh se nigah kāmyāb hai
guzrā 'asad' masarrat-e-paiġhām-e-yār seqāsid pe mujh ko rashk-e-savāl-o-javāb hai
zāhir hai tarz-e-qaid se sayyād kī ġharazjo daana daam meñ hai so ashk-e-kabāb hai
be-chashm-e-dil na kar havas-e-sair-e-lāla-zārya.anī ye har varaq varaq-e-intiḳhāb hai