رمزِ زندگیRamz E Zindagi

دل ناداں تجھے ہوا کیا ہے

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 11 sher · Roman Urdu ke saath

dil-e-nādāñ tujhe huā kyā haiāḳhir is dard kī davā kyā hai
ham haiñ mushtāq aur vo be-zāryā ilāhī ye mājrā kyā hai
maiñ bhī muñh meñ zabān rakhtā huuñkaash pūchho ki mudda.ā kyā hai
jab ki tujh bin nahīñ koī maujūdphir ye hañgāma ai ḳhudā kyā hai
ye parī-chehra log kaise haiñġhamza o ishva o adā kyā hai
shikan-e-zulf-e-ambarīñ kyuuñ hainigah-e-chashm-e-surma sā kyā hai
sabza o gul kahāñ se aa.e haiñabr kyā chiiz hai havā kyā hai
ham ko un se vafā kī hai ummīdjo nahīñ jānte vafā kyā hai
haañ bhalā kar tirā bhalā hogāaur darvesh kī sadā kyā hai
jaan tum par nisār kartā huuñmaiñ nahīñ jāntā duā kyā hai
maiñ ne maanā ki kuchh nahīñ 'ġhālib'muft haath aa.e to burā kyā hai