رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ایک ایک قطرہ کا مجھے دینا پڑا حساب

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath

ek ek qatre kā mujhe denā paḌā hisābḳhūn-e-jigar vadī.at-e-mizhgān-e-yār thā
ab maiñ huuñ aur mātam-e-yak-shahr-ārazūtoḌā jo tū ne aa.ina timsāl-dār thā
galiyoñ meñ merī na.ash ko khīñche phiro ki maiñjāñ-dāda-e-havā-e-sar-e-rahguzār thā
mauj-e-sarāb-e-dasht-e-vafā kā na pūchh haalhar zarra misl-e-jauhar-e-teġh āb-dār thā
kam jānte the ham bhī ġham-e-ishq ko par abdekhā to kam hue pa ġham-e-rozgār thā
kis kā junūn-e-dīd tamannā-shikār thāā.īna-ḳhāna vādī-e-jauhar-ġhubār thā
kis kā ḳhayāl ā.ina-e-intizār thāhar barg-e-gul ke parde meñ dil be-qarār thā
juuñ ġhuncha-o-gul āfat-e-fāl-e-nazar na pūchhpaikāñ se tere jalva-e-zaḳhm āshkār thā
dekhī vafā-e-fursat-e-rañj-o-nashāt-e-dahrḳhamyāza yak-darāzi-e-umr-e-ḳhumār thā
sub.h-e-qayāmat ek dum-e-gurg thī 'asad'jis dasht meñ vo shoḳh-e-do-ālam shikār thā