رمزِ زندگیRamz E Zindagi

غافل بہ وہم ناز خود آرا ہے ورنہ یاں

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 9 sher · Roman Urdu ke saath

ġhāfil ba-vahm-e-nāz ḳhud-ārā hai varna yaañbe-shāna-e-sabā nahīñ turra gayāh kā
bazm-e-qadah se aish-e-tamannā na rakh ki rañgsaid-e-ze-dām-e-jasta hai us dām-gāh kā
rahmat agar qubūl kare kyā ba.iid haisharmindagī se uzr na karnā gunāh kā
maqtal ko kis nashāt se jaatā huuñ maiñ ki haipur-gul ḳhayāl-e-zaḳhm se dāman nigāh kā
jaañ dar-havā-e-yak-nigah-e-garm hai 'asad'parvāna hai vakīl tire dād-ḳhvāh kā
uzlat-guzīn-e-bazm haiñ vāmāñdagān-e-dīdmīnā-e-mai hai aabla pā-e-nigāh kā
har gaam aable se hai dil dar-tah-e-qadamkyā biim ahl-e-dard ko saḳhtī-e-rāh kā
tā.ūs-e-dar-rikāb hai har zarra aah kāyā-rab nafas ġhubār hai kis jalva-gāh kā
jeb-e-niyāz-e-ishq nishāñ-dār-e-nāz haiā.īna huuñ shikastan-e-tarf-e-kulāh kā