ہے کس قدر ہلاک فریب وفائے گل
Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 11 sher · Roman Urdu ke saath
hai kis qadar halāk-e-fareb-e-vafā-e-gulbulbul ke kārobār pe haiñ ḳhanda-hā-e-gul
āzādī-e-nasīm mubārak ki har tarafTuuTe paḌe haiñ halqa-e-dām-e-havā-e-gul
jo thā so mauj-e-rañg ke dhoke meñ mar gayāai vaa.e nāla-e-lab-e-ḳhūnīñ-navā-e-gul
ḳhush-hāl us harīf-e-siyah-mast kā ki jorakhtā ho misl-e-sāya-e-gul sar-ba-pā-e-gul
ījād kartī hai use tere liye bahārmerā raqīb hai nafas-e-itr-sā-e-gul
sharminda rakhte haiñ mujhe bād-e-bahār semīnā-e-be-sharāb o dil-e-be-havā-e-gul
satvat se tere jalva-e-husn-e-ġhuyūr kīḳhuuñ hai mirī nigāh meñ rañg-e-adā-e-gul
tere hī jalve kā hai ye dhokā ki aaj takbe-iḳhtiyār dauḌe hai gul dar-qafā-e-gul
'ġhālib' mujhe hai us se ham-āġhoshī aarzūjis kā ḳhayāl hai gul-e-jeb-e-qabā-e-gul
dīvānagāñ kā chāra faroġh-e-bahār haihai shāḳh-e-gul meñ panja-e-ḳhūbāñ bajā.e gul
mizhgāñ talak rasā.ī-e-laḳht-e-jigar kahāñai vaa.e gar nigāh na ho āshnā-e-gul