رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عشق تاثیر سے نومید نہیں

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 6 sher · Roman Urdu ke saath

ishq tāsīr se naumed nahīñjāñ-sapārī shajar-e-bed nahīñ
saltanat dast-ba-dast aa.ī haijām-e-mai ḳhātam-e-jamshed nahīñ
hai tajallī tirī sāmān-e-vajūdzarra be-partav-e-ḳhurshed nahīñ
rāz-e-māshūq na rusvā ho jaa.evarna mar jaane meñ kuchh bhed nahīñ
gardish-e-rañg-e-tarab se Dar haiġham-e-mahrūmi-e-jāved nahīñ
kahte haiñ jiite haiñ ummed pe logham ko jiine kī bhī ummed nahīñ