اب وہ اگلا سا التفات نہیں
Ghazal · Altaf Hussain Hali · الطاف حسین حالی · 7 sher · Roman Urdu ke saath
ab vo aglā sā iltifāt nahīñjis pe bhūle the ham vo baat nahīñ
mujh ko tum se e'timād-e-vafātum ko mujh se par iltifāt nahīñ
rañj kyā kyā haiñ ek jaan ke saathzindagī maut hai hayāt nahīñ
yūñhī guzre to sahl hai lekinfursat-e-ġham ko bhī sabāt nahīñ
koī dil-soz ho to kiije bayāñsarsarī dil kī vārdāt nahīñ
zarra zarra hai maz.har-e-ḳhurshīdjaag ai aañkh din hai raat nahīñ
qais ho kohkan ho yā 'hālī'āshiqī kuchh kisī kī zaat nahīñ