دھوم تھی اپنی پارسائی کی
Ghazal · Altaf Hussain Hali · الطاف حسین حالی · 13 sher · Roman Urdu ke saath
dhuum thī apnī pārsā.ī kīkī bhī aur kis se āshnā.ī kī
kyuuñ baḌhāte ho iḳhtilāt bahutham ko tāqat nahīñ judā.ī kī
muñh kahāñ tak chhupāoge ham setum ko aadat hai ḳhud-numā.ī kī
laag meñ haiñ lagāo kī bāteñsulh meñ chheḌ hai laḌā.ī kī
milte ġhairoñ se ho milo lekinham se bāteñ karo safā.ī kī
dil rahā pā-e-band-e-ulfat-e-dāmthī abas aarzū rihā.ī kī
dil bhī pahlū meñ ho to yaañ kis serakhiye ummīd dilrubā.ī kī
shahr o dariyā se baaġh o sahrā sebū nahīñ aatī āshnā.ī kī
maut kī tarah jis se Darte thesaa.at aa pahuñchī us judā.ī kī
zinda phirne kī hai havas 'hālī'intihā hai ye be-hayā.ī kī