رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عبد الرحمن اول کا بويا ہوا کھجور کا پہلا درخت

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 10 sher · Roman Urdu ke saath

Apni Wadi Se Door Hun MainMere Liye Nakhl-e-Toor Hai Tu
Maghrib Ki Hawa Ne Tujh Ko PalaSehra-e-Arab Ki Hoor Hai Tu
Pardais Mein Na-Saboor Hun MainPardais Mein Na-Saboor Hai Tu
Ghurbat Ki Hawa Mein Bar-War HoSaqi Tera Nam-e-Sehar Ho
Alam Ka Ajeeb Hai NazaraDamaan-e-Nigah Hai Para Para
Himmat Ko Shanawari Mubarik!Paida Nahin Behar Ka Kinara
Hai Souz-e-Daroon Se ZindagaaniUthta Nahin Khaak Se Sharara
Subah-e-Ghurbat Mein Aur ChamkaToota Huwa Shaam Ka Sitara
Momin Ke Jahan Ki Had Nahin HaiMomin Ka Maqam Har Kahin Hai