رمزِ زندگیRamz E Zindagi

لالہ صحرا

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath

Ye Gunbad-e-Meenai, Ye Alam-e-TanhaiMujh Ko To Darati Hai Iss Dasht Ki Pehnayi
Khali Hai Kaleemon Se Ye Koh-o-Qamar WarnaTu Shoala-e-Seenayi, Mein Shoala-e-Seenayi!
Tu Shakh Se Kyun Phoota, Main Shakh Se Kyun TootaEk Jazba-e-Paidayi, Ek Lazzat-e-Yaktayi!
Ghawwas-e-Mohabbat Ka Allah Nigheban HoHar Qatra-e-Darya Mein Darya Ki Hai Gehrayi
Hai Garmi-e-Adam Se Hungama-e-Alam GaramSooraj Bhi Tamashayi, Tare Bhi Tamashayi