روح ارضي آدم کا استقبال کرتي ہے
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 12 sher · Roman Urdu ke saath
Khol Ankh, Zameen Dekh, Falak Dekh, Faza DekhMashriq Se Ubharte Huwe Suraj Ko Zara Dekh
Iss Jalwa-e-Beparda Ko Pardon Mein Chupa DekhAyyam-e-Judai Ke Sitam Dekh, Jafa Dekh
Betab Na Ho Maarika-e-Beem-o-Rija Dekh!Hain Tere Tassaruf Mein Ye Badal, Ye Ghataen
Ye Gunbad-e-Aflak, Ye Khamosh FazaenYe Koh Ye Sehra, Ye Sumandar Ye Hawaen
Theen Paish-e-Nazar Kal To Farishton Ki AdaenAaeena-e-Ayyam Mein Aaj Apni Ada Dekh!
Samjhe Ga Zamana Teri Ankhon Ke IshareDekhain Ge Tujhe Door Se Gardoon Ke Sitare
Na-Paid Tere Behar-e-Takhiyyul Ke KinarePohanche Ge Falak Tak Teri Aahon Ke Shirare
Tameer-e-Khudi Kar, Asar-e-Aah-e-Rasa Dekh!Khurshid-e-Jahan Taab Ki Zou Tere Sharar Mein
Abad Hai Ek Taza Jahan Tere Hunar MeinJachte Nahin Bakhshe Huwe Firdous Nazar Mein
Jannat Teri Pinhan Hai Tere Khoon-e-Jigar MeinAe Paikar-e-Gil Koshish-e-Peham Ki Jaza Dekh!
Nalinda Tere Uood Ka Har Taar Azal SeTu Jinse-e-Mohabbat Ka Khireedar Azal Se
Tu Peer-e-Sanam Khana-e-Asrar Azal SeMehnat Kash-o-Khoon Raiz-o-Kam Azaar Azal Se