Shaheed-e-Mohabbat Na Kafir Na GhaziMohabbat Ki Rasmain Na Turki Na Tazi
Woh Kuch Aur Shay Hai, Mohabbat Nahin HaiSikhati Hai Jo Ghaznavi Ko Ayazi
Ye Johar Agar Kar Farma Nahin HaiTo Hain Ilm-o-Hikmat Faqat Sheesha Bazi
Na Mohtaj-e-Sultan, Na Maroob-e-SultanMohabbat Hai Azadi-o-Be-Niazi
Mera Faqr Behtar Hai Iskandari SeYe Adam Gari Hai, Woh Aaeena Sazi