شاہيں
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 9 sher · Roman Urdu ke saath
Kiya Mein Ne Uss Khakdan Se KinaraJahan Rizq Kanaam Hai Aab-o-Dana
Bayaban Ki Khalwat Khush Ati Hai Mujh KoAzal Se Hai Fitrat Meri Rahbana
Na Bad-e-Bahari, Na Gulcheen, Na BulbulNa Beemari-e-Naghma-e-Ashiqana
Khayabanion Se Hai Parhaiz LazimAdaen Hain In Ki Bohat Dilbarana
Hawa-e-Bayaban Se Hoti Hai KariJawan Mard Ki Zarbat-e-Ghaziyana
Hamam-o-Kabootar Ka Bhooka Nahin MainKe Hai Zindagi Baaz Ki Zahidana
Jhapatna, Palatna, Palat Kar JhapatnaLahoo Garam Rakhne Ka Hai Ek Bahana
Ye Poorab, Ye Pacham Chakoron Ki DunyaMera Neelgun Asman Baikarana
Prindon Ki Dunya Ka Dervaish Hun MeinKe Shaheen Banata Nahin Ashiyana