رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ابليس کي مجلس شوري

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 30 sher · Roman Urdu ke saath

Ye Anasir Ka Purana Khail, Ye Dunya-e-DoonSakinan-e-Arsh-e-Azam Ki Tamanaon Ka Khoon!
Uss Ki Barbadi Pe Aaj Aamada Hai Woh KaarsaazJis Ne Uss Ka Nam Rakha Tha Jahan-e-Kaaf-o-Noon
Mein Ne Dikhlaya Farangi Ko Mulukiyat Ka KhawabMein Ne Tora Masjid-o-Dair-o-Kalisa Ka Fusoon
Kon Kar Sakta Hai Uss Ki Aatish Soozan Ko SardJis Ke Hungamon Mein Ho Iblees Ka Souz-e-Daroon
Jis Ki Shakhain Hon Humari Aabiyari Se BulandKon Kar Sakta Hai Uss Nakhl-e-Kuhan Ko Ser Nigoon!
Iss Mein Kya Shak Hai Ke Muhkam Hai Ye Ibleesi NizamPukhta Tar Iss Se Huwe Khuay Ghulami Mein Aawam
Hai Azal Se In Gharibon Ke Muqaddar Mein SujoodIn Ki Fitrat Ka Taqaza Hai Namaz-e-Be Qayam
Arzoo Awwal To Paida Ho Nahin Sakti KahinHo Kahin Paida To Mer Jati Hai Ya Rehti Hai Kham
Ye Humari Saee-e-Peham Ki Karamat Hai Ke AajSufi-o-Mullah Mukuliyat Ke Bande Hain Tamam
Taba-e-Mashriq Ke Liye Mouzoon Yehi Afyoon ThiWarna 'Qawwali' Se Kuch Kam Tar Nahin 'Ilm E Kalam'
Hai Tawaf-e-Hajj Ka Hungama Agar Baqi To KyaKund Ho Kar Reh Gyi Momin Ki Taeg-e-Be Nayam
Kis Ki Naumeedi Pe Hujjat Hai Ye Farman-e-Jadeed'Hai Jihad Iss Dour Mein Mard-e-Musalman Par Haram!'
Khair Hai Sultani Jumhoor Ka Ghogha Ke SherrTu Jahan Ke Taza Fitnon Se Nahin Hai Ba-khabar!
Hun, Magar Meri Jahan Beeni Batati Hai MujheJo Mulukiyat Ka Ek Parda Ho, Kya Uss Se Khatar!
Hum Ne Khud Shahi Ko Pehnaya Hai Jumhoori LibasJab Zara Aadam Huwa Hai Khud Shanas-o-Khud Nigar
Karobar-e-Sheher Yari Ki Haqiqat Aur HaiYe Wujood-e-Meer-o-Sultan Par Nahin Hai Munhasar
Majlis-e-Millat Ho Ya Parvaiz Ka Darbar HoHai Woh Sultan, Ghair Ki Khaiti Pe Ho Jis Ki Nazar
Tu Ne Kya Dekha Nahin Maghrib Ka Jumhoori NizamChehra Roshan, Androon Changaiz Se Tareek Tar!
Rooh-e-Sultani Rahe Baqi To Phir Kya IztarabHai Magar Kya Uss Yahoodi Ki Shararat Ka Jawab?
Woh Kaleem Be-Tajalli, Woh Maseeh Be-SaleebNeest Peghambar Wa Lekin Dar Baghal Darad Kitab
Kya Bataun Kya Hai Kafir Ki Nigah-e-Parda SouzMashriq-o-Maghrib Ki Qaumon Ke Liye Roz-e-Hisab
Torh Uss Ka Rumatul Kubra Ke Aewanon Mein DekhAal-e-Ceaser Ko Dikhaya Hum Ne Phir Ceaser Ka Khawab
Kon Behar-e-Rome Ki Moujon Se Hai Lipta Huwa'Gah Balad Choon Sanobar' Gah Nalad Choon Rabab
Ae Tere Souz-e-Nafas Se Kaar-e-Aalam Ustawar!Tu Ne Jab Chaha, Kiya Har Pardagi Ko Ashikaar
Aab-o-Gill Teri Hararat Se Jahan-e-Souz-o-SaazAbla-e-Jannat Teri Taleem Se Danaye Kaar
Tujh Se Barh Kar Fitrat-e-Aadam Ka Woh Mehram NahinSada Dil Bandon Mein Jo Mashoor Hai Parwardigar
Kaam Tha Jin Ka Fakat Taqdees-o-Tasbeeh-o-TawafTeri Gairat Se Abad Tak Sar Nigun-o-Sharamsaar