رمزِ زندگیRamz E Zindagi

آواز غيب

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath

Ati Hai Dam-E-Subah Sadda Arsh-E-Bareen SeKhoya Gya Kis Tarah Tera Johar-E-Idraak !
Kis Tarah Huwa Kund Tera Nashtar-E-TehqeeqHote Nahin Kyun Tujh Se Sitaron Ke Jagar Chaak
Tu Zahir-O-Batin Ki Khilafat Ka SazawaarKya Shaola Bhi Hota Hai Ghulam-E-Khs-O-Khashaak
Mehar-O-Mah-O-Anjum Nahin Mehkoom Tere KyunKyun Teri Nigahon Se Larazte Nahin Aflaak
Ab Tak Hai Rawan Gharcha Lahoo Teri Raagon MeinNe Garmi-E-Afkaar, Na Andaish-e-Bebaak
Roshan To Woh Hoti Hai, Jahan Been Nahin HotiJis Ankh Ke Pardon Mein Nahin Hai Nigah-E-Pak
Baqi Na Rahi Teri Woh Aaeena ZameeriAe Kushta-e-Sultani-O-Mullai-O-Peeri !