tu shanasa e kharash e auqda mushkil nahinae gul e rangeen tere pehlu mein shaid dil nahin
zaib e mehfil hai, shareek e shorish e mehfil nahinye faraghat bazm e hasti mein mujhe hasil nahin
iss chaman mein mein sarapa souz o saaz e aarzuaur teri zindagani be gudaz e aarzu
torh lena shakh se tujh ko mera aaeen nahinye nazar ghair az nagah e chasm e surat been nahin
ah! ye dast e jafa ju ae gul e rangeen nahinkis tarah tujh ko ye samjhaun ke main gulcheen nahin
kam mujh ko didah e hikmat ke uljhairon se kyadidah e bulbul se main karta hun nazara tera
so zubanon par bhi khamoshi tuhje manzoor hairaaz woh kya hai tere sine mein jo mastoor hai
meri soorat tu bhi ek berg e riyaz e toor haimain chaman se door hun, tu bhi chaman se door hai
matmaen hai tu, preshan misl e bu rehta hun mainzakhmi e shamsheer e zauq justuju rehta hun main
ye preshani meri saman e jamiat na hoye jigar sauzi charagh e khana e hikmat na ho
natawani hi meri sarmaya e quwwat na horashk e jam e jim mera aaeena e hairat na ho
ye talash e muttasil shama e jahan afroz haitosin e idraak e insan ko kharam aamuz hai