رمزِ زندگیRamz E Zindagi

عہد طفلي

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 6 sher · Roman Urdu ke saath

thay diyar e nau zameen o aasman mere liyewussat e aaghaush e madar ek jahan mere liye
thi har ek junbish nishan e lutf e jaan mere liyeharf e be matlab thi khud meri zuban mere liye
dard, tiflee mein agar koi rulata tha mujheshorish e zanjeer e dar mein lutf aata tha mujhe
takte rehana haye! vo pehron talak suay qamarvo phate badal mein be aawaz e paa uss ka safar
pochna reh reh ke uss ke koh o sehra ki khabaraur vo herat darogh e muslahat aamaz per
aankh waqaf e deed thi, lab mayal e guftar thadil na tha mera, sarapa zauq e istafsar tha