ابر کوہسار
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 12 sher · Roman Urdu ke saath
Hai Bulandi Se Falak Bos Nasheman MeraAbar E Kuhsar Hun Gul Pash Hai Daman Mera
Kabhi Sehra, Kabhi Gulzar Hai Maskan MeraSheher O Wirana Mera, Beher Mera, Ban Mera
Kisi Wadi Mein Jo Manzoor Ho Sona Mujh KoSabza E Koh Hai Makhmal Ka Bichona Mujh Ko
Mujh Ko Qudrat Ne Sikhaya Hai Dur Afsan HonaNaqa E Shahid E Rehmat Ka Hudi Khawan Hona
Ghamzada E Dil E Afsurda E Dehqan HonaRonaq E Bazm E Jawanan E Gulistan Hona
Ban Ke Gaisu Rukh E Hasti Pe Bikhar Jata HunShana E Moja E Ser Ser Se Sanwar Jata Hun Mein
Door Se Didah E Umeed Ko Tersata Hun MeinKisi Basti Se Jo Khamosh Guzar Jata Hun
Saer Kerta Huwa Jis Dam Lab E Ju Aata HunBaliyan Neher Ko Gerdab Ki Pehnata Hun
Sabza E Mazere Nokhaiz Ki Umeed Hun MeinZadah E Beher Hun, Perwerdah E Khurshid Hun
Chasma E Koh Ko Di Shorish E Qulzum Mein NeAur Perindon Ko Kiya Mehev E Tarannum Mein Ne
Ser Pe Sabze Ke Khare Ho Ke Kaha Qum Mein NeGunchae Gul Ko Diya Zauq E Tabassum Mein Ne
Faiz Se Mere Namoone Hain Shabistanon KeJhonpare Daman E Kuhsar Mein Dehqanon Ke