ايک گائے اور بکري
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 29 sher · Roman Urdu ke saath
Ek Charagah Heri Bheri Thi KahinThi Sarapa Bhar Jis Ki Zameen
Kya Saman Uss Bahar Ka Ho BayanHer Taraf Saaf Nadiyan Thin Rawan
Thay Anaron Ke Be-Shumar DarakhtAur Peepal Ke Sayadar Darakht
Thandi Thandi Hawayen Aati ThinTaeron Ki Sadaen Aati Thin
Kisi Nadi Ke Paas Ek BakriCharte Charte Kahin Se Aa Nikli
Jab Theher Ker Idhar Udhar DekhaPaas Ek Gaye Ko Khare Paya
Pehle Jhuk Ker Ussay Salam KiyaPhir Salike Se Yun Kalam Kiya
Kyun Bari Bi! Mazaj Kaise HainGaye Boli Ke Khair Ache Hain
Kat Rahi Hai Buri Bhali ApniHai Musibat Mein Zindagi Apni
Jaan Par Aa Bani Hai, Kya KahiyeApni Kismat Buri Hai, Kya Kahiye
Dekhti Hun Khuda Ki Shaan Ko MeinRo Rahi Hun Buron Ke Jaan Ko Mein
Zor Chalta Nahin Gareebon KaPesh Aaya Likha Naseebon Ka
Aadmi Se Koi Bhala Na KareUss Se Pala Pare, Khuda Na Kare
Doodh Kam Dun To Barbarata HaiHun Jo Dubli To Bach Khata Hai
Hathkandon Se Ghulam Karta HaiKin Farebon Se Raam Karta Hai
Uss Ke Bachon Ko Palti Hun MeinDoodh Se Jaan Dalti Hun Mein
Badle Naiki Ke Ye Burai HaiMere Allah! Teri Duhayi Hai
Sun Ke Bakri Ye Majra SaraBoli, Aesa Gila Nain Acha
Baat Sachi Hai Be-Maza LagtiMein Kahun Gi Magar Khuda Lagti
Ye Charagah, Ye Thandi Thandi HawaYe Hari Ghaas Aur Ye Saya
Aesi Khushiyan Humain Naseeb KahanYe Kahan, Be-Zuban Gareeb Kahan!
Ye Maze Aadmi Ke Dam Se HainLutf Sare Ussi Ke Dam Se Hain
Uss Ke Dam Se Hai Apni AabadiQaid Hum Ko Bhali Ke Azadi!
So Tarah Ka Hai Banon Mein Hai KhatkaWan Ki Guzaran Se Bachaye Khuda
Hum Pe Ehsan Hai Bara Uss KaHum Ko Zaiba Nahin Gila Uss Ka
Dil Mein Perkha Bhala Bura Uss NeAur Kuch Soch Ker Kaha Uss Ne
Yun To Chotti Hai Zaat Bakri KiDil Ko Lagti Hai Baat Bakri Ki