پر ندے کي فر ياد
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 11 sher · Roman Urdu ke saath
Ata Hai Yaad Mujh Ko Guzra Huwa ZamanaWoh Bagh Ki Baharain, Woh Sub Ka Chehchana
Azadiyan Kahan Woh Ab Apne Ghonsle KiApni Khushi Se Ana, Apni Khushi Se Jana
Lagti Hai Chot Dil Per, Ata Hai Yad Jis DamShabnaam Ke Ansuon Per Kaliyon Ka Muskarana
Vo Payari Payari Soorat, Vo Kamni Si MooratAbad Jis Ke Dam Se Tha Mera Ashiyana
Ati Nahin Sadaen Uss Ki Mere Qafas MeinHoti Meri Rehai Ae Kash Mere Bus Mein!
Kya Badnaseeb Hun Mein Ghar Ko Taras Raha HunSathi To Hain Watan Mein, Main Qaid Mein Para Hun
Ayi Bahar, Kaliyan Phoolon Ki Hans Rahi HainMein Iss Andhere Ghar Mein Kismat Ko Ro Raha Hun
Iss Qaid Ka Elahi! Dukhra Kise SunaunDer Hai Yahin Qafas Mein Main Gham Se Mer Na Jaun
Jab Se Chaman Chuta Hai, Ye Haal Ho Gya HaiDil Gham Ko Kha Raha Hai, Gham Dil Ko Kha Raha Hai
Gana Issay Samajh Ker Khush Hon Na Sunne WaleDukhe Huwe Dilon Ki Faryad Ye Sada Hai
Azad Mujh Ko Ker De, O Qaid Kerne Wale!Main Bezuban Hun Qaidi, Tu Chor Ker Dua Le