Toot Kar Khursheed Ki Kashti Huwi Gharqab-e-NeelAik Tukra Tairta Phirta Hai Rooye Aab-e-Neel
Tasht-e-Gardoon Mein Tapakta Hai Shafaq Ka Khoon-e-NaabNashtar-e-Qudrat Ne Kya Kholi Hai Fasd-e-Aftab
Charakh Ne Bali Chura Li Hai Uroos-e-Shaam KiNeel Ke Pani Mein Ya Machli Hai Seem-e-Khaam Ki
Qafla Tera Rawan Be-Minnat-e-Bang-e-DraGosh-e-Insaan Sun Nahin Sakta Teri Awaz-e-Pa
Ghatne Barhne Ka Saman Ankhon Ko Dikhlata Hai TuHai Watan Tera Kidhar, Kis Dais Ko Jata Hai Tu
Sath Ae Sayyara-e-Sabit Numa Le Chal MujheKhar-e-Hasrat Ki Khalish Rakhti Hai Ab Be Kal Mujhe
Noor Ka Talib Hun, Ghabrata Hun Iss Basti Mein MainTiflak-e-Seemab Pa Hun Maktab-e-Hasti Mein Main