رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ز ہد اور رندي

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 27 sher · Roman Urdu ke saath

Shohra Tha Bohat App Ki Sufi Manashi KaKarte The Adab Un Ka Aa’aali-o-Adani
Kehte The Ke Pinhan Hai Tasawwuf Mein ShariatJis Tarah Ke Alfaz Mein Muzmar Hon Maani
Labraiz Mai-e-Zuhd Se Thi Dil Ki SurahiThi Teh Mein Kahin Dard-e-Khiyal-e-Hama-Dani
Hazrat Ne Mere Aik Shanasa Se Ye PuchaIqbal Ke Hai Qumri-e-Shamshad-e-Maani
Pabandi-e-Ahkam-e-Shariat Mein Hai Kaisa?Go Shair Mein Hai Rashak-e-Kaleem-e-Hamdani
Sunta Hun Ke Kafir Nahin Hindu Ko SamajhtaHai Aesa Aqeeda Asar-e-Falsafa Dani
Hai Iss Ki Tabiyat Mein Tashayyu Bhi Zara SaTafzeel-e-Ali (R.A.) Hum Ne Suni Iss Ki Zubani
Samajha Hai Ke Hai Raag Ibadaat Mein DakhilMaqsood Hai Mazhab Ki Magar Khak Urani
Kuch Aar Isse Husn Faroshon Se Nahin HaiAdat Ye Humare Shuara Ki Hai Purani
Gana Jo Hai Shab Ko To Sehar Ko Hai TalawatIss Ramz Ke Ab Tak Na Khule Hum Pe Maani
Lekin Ye Suna Apne Mureedon Se Hai Main NeBe-Dagh Hai Manind-e-Sehar Iss Ki Jawani
Majmooa-e-Azdaad Hai, Iqbal Nahin HaiDil Daftar-e-Hikmat Hai, Tabiat Khuftani
Rindi Se Bhi Aagah, Shariat Se Bhi WaqifPucho Jo Tasawwuf Ki To Mansoor Ka Sani
Iss Shakhs Ki Hum Par To Haqiqat Nahin KhultiHo Ga Ye Kisi Aur Hi Islam Ka Bani
Al-Qissa Bohat Toul Diya Waaz Kp ApneTa Dair Rahi App Ki Ye Nagz Byani
Ek Din Jo Sar-e-Rah Mile Hazrat-e-ZahirPhir Chhir Gyi Baton Mein Wohi Baat Purani
Farmaya, Shikayat Woh Mohabbat Ke Sabab ThiTha Farz Mera Rah Shariat Ki Dikhani
Main Ne Ye Kaha Koi Gila Mujh Ko Nahin HaiYe App Ka Haq Tha Zarah-e-Qurb-e-Makani
Kham Hai Sar-e-Tasleem Mera App Ke AgayPeeri Hai Tawazaa Ke Sabab Meri Jawani
Gar App Ko Maloom Nahin Meri HaqiqatPaida Nahin Kuch Iss Se Qasoor-e-Hamadani
Main Khud Bhi Nahin Apni Haqiqat Ka ShanasaGehra Hai Mere Behr-e-Khiyalaat Ka Pani
Mujh Ko Bhi Tammana Hai Ke ‘Iqbal’ Ko DekhunKi Iss Ki Juddai Mein Bohat Ashak Fishani
Iqbal Bhi ‘Iqbal’ Se Agah Nahin HaiKuch Iss Mein Tamaskhar Nahin Wallah Nahin Hai