سر گزشت آدم
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 18 sher · Roman Urdu ke saath
Sune Koi Meri Ghurbat Ki Dastan Mujh SeBhulaya Qissa-e-Peman-e-Awaleen Main Ne
Lagi Na Meri Tabiat Riyaz-e-Jannat MeinPiya Shaur Ka Jab Jaam-e-Aatisheen Main Ne
Rahi Haqiqat-e-Alam Ki Justujoo Mujh KoDikhaya Auj-e-Khiyal-e-Falak Nasheeen Main Ne
Mila Mazaj Tagiyur Pasand Kuch AesaKiya Qarar Na Zair-e-Falak Kahin Main Ne
Nikala Kaabe Se Pathar Ki Mooraton Ko KabhiKabhi Buton Ko Banaya Haram Nasheen Main Ne
Kabhi Main Zauq-e-Takalum Mein Toor Par PohanchaChupaya Noor-e-Azal Zair-e-Asteen Main Ne
Kabhi Saleeb Pe Apnon Ne Mujh Ko LatkayaKiya Falak Ko Safar, Chor Kar Zameen Main Ne
Kabhi Mein Ghaar-e-Hira Mein Chupa Raha BarsonDiya Jahan Ko Kabhi Jaam-e-Akhreen Main Ne
Sunaya Hind Mein Aa Kar Surood-e-RabbaniPasand Ki Kabhi Yunan Ki Sar Zameen Main Ne
Diyar-e-Hind Ne Jis Dam Meri Sada Na SuniBasaya Khitta-e-Japan-o-Mulk-e-Cheen Main Ne
Banaya Zarron Ki Tarkeeb Se Kabhi AlamKhilaf-e-Ma’ani-e-Taleem-e-Ahl-e-Deen Main Ne
Lahoo Se Laal Kiya Saikron Zameenon KoJahan Mein Chair Ke Pikaar-e-Aqal-o-Deen Main Ne
Samajh Mein Ayi Haqiqat Na Jab Sitaron KiIssi Khiyal Mein Raatain Guzar Deen Main Ne
Dra Sakeen Na Kalisa Ki Mujh Ko TalwarainSikhaya Masla-e-Gardish-e-Zameen Main Ne
Kasish Ka Raaz Haweda Kiya Zamane ParLaga Ke Aaeena-e-Aqal-e-Doorbeen Main Ne
Kiya Aseer Shuaon Ko, Barq-e-Muztir KoBana Di Ghairat-e-Jannat Ye Sarzameen Main Ne
Magar Khabar Na Milli Ah! Raaz-e-Hasti KiKiya Khird Se Jahan Ko Teh-e-Nageen Main Ne
Huwi Jo Chashm-e-Muzahir Parast Wa AkhirTo Paya Khana-e-Dil Mein Isse Makeen Main Ne