Jugnoo Ki Roshni Hai Kashana-e-Chaman MeinYa Shama Jal Rahi Hai Phoolon Ki Anjuman Mein
Aya Hai Asman Se Urh Kar Koi SitaraYa Jaan Parh Gyi Hai Mehtaab Ki Kiran Mein
Ya Shab Ki Saltanat Mein Din Ka Safeer AyaGharbat Mein Aa Ke Chamka, Ghumnaam Tha Watan Mein
Tukma Koi Gira Hai Mehtab Ki Qaba KaZarra Hai Ya Numayan Suraj Ke Pairhan Mein
Husn-e-Qadeem Ki Ye Poshida Ek Jhalak ThiLe Ayi Jis Ko Qudrat Khalwat Se Anjuman
Chote Se Chand Mein Hai Zulmat Bhi Roshni BhiNikla Kabhi Gehn Se, Aya Kabhi Gehn Mein
Parwana Ek Patanga, Jugnoo Bhi Ek PatangaWoh Roshni Ka Talib, Ye Roshni Sarapa
Har Cheez Ko Jahan Mein Qudrat Ne Dilbari DiParwane Ko Tapish Di, Jugnoo Ko Roshani Di
Rangeen Nawa Banaya Murghan-e-Bezuban KoGul Ko Zuban De Kar Taleem-e-Khamashi Di
Nazara-e-Shafaq Ki Khoobi Zawal Mein ThiChamka Ke Iss Pari Ko Thori Si Zindagi Di
Rangeen Kiya Sehar Ko Banki Dulhan Ki SooratPehna Ke Laal Jorha Shabnam Ki Aar Si Di
Saya Diya Shajar Ko, Parwaz Di Hawa KoPani Ko Di Rawani, Moujon Ko Be-Kali Di
Ye Imtiaz Lekin Ek Baat Hai HumariJugnoo Ka Din Wohi Hai Jo Raat Hai Humari
Husn-e-Azal Ki Paida Har Cheez Mein Jhalak HaiInsan Mein Woh Sukhan Hai, Ghunche Mein Woh Chatak Hai
Ye Chand Asman Ka Shayar Ka Dil Hai GoyaWaan Chandani Hai Jo Kuch, Yaan Dard Kasak Hai
Andaz-e-Guftugoo Ne Dhoke Diye Hain WarnaNaghma Hai Bu-e-Bulbul, Boo Phool Ki Chehak Hai
Kasrat Mein Ho Gya Hai Wahdat Ka Raaz MakhfiJugnoo Mein Jo Chamak Hai, Woh Phool Mein Mehak Hai
Ye Ikhtilaf Phir Kyun Hangamon Ka Mehal HoHar Shay Mein Jabke Pinhan Khamoshi-e-Azal Ho