صبح کا ستارہ
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 20 sher · Roman Urdu ke saath
Lutf-e-Humsayegi-e-Shams-o-Qamar Ko ChorunAur Iss Khidmat-e-Paigham-e-Sehar Ko Chorun
Mere Haq Mein To Nahin Taron Ki Basti AchiIss Bulandi Se Zameen Walon Ki Pasti Achi
Aasman Kya, Adam Abad Watan Hai MeraSubah Ka Daman-e-Sad Chaak Kafan Hai Mera
Meri Qismat Mein Hai Har Roz Ka Merna JeenaSaqi-e-Mout Ke Hathon Se Saboohi Peena
Na Ye Khidmat, Na Ye Izzat, Na Ye Riffat AchiIss Ghari Bhar Ke Chamakne Se To Zulmat Achi
Meri Qudrat Mein Jo Hota To Na Akhtar BantaQa’ar-e-Darya Mein Chamakta Huwa Gohar Banta
Waan Bhi Moujon Ki Kashakash Se Jo Dil GhabrataChor Kar Behr Kahin Zaib-e-Guloo Ho Jata
Hai Chamakne Mein Maza Husn Ka Zaiwar Ban KarZeenat-e-Taj-e-Sar-e-Bano-e-Qaisar Ban Kar
Aik Pathar Ke Jo Tukre Ka Nasiba JaagaKhatam-e-Dast-e-Suleman Ka Nageen Ban Ke Raha
Aesi Cheezon Ka Magar Dehr Mein Hai Kaam ShikastHai Guhr Haye Giran Maya Ka Anjaam Shikast
Zindagi Woh Hai Ke Jo Ho Na Shanasaye AjalKya Woh Jeena Hai Ke Ho Jis Mein Taqazaye Ajal
Hai Ye Anjaam Agar Zeenat-e-Alam Ho KarKyun Na Gir Jaun Kisi Phool Pe Shabnam Ho Kar!
Kisi Paishani Ke Afshan Ke Sitaron Mein RahunKisi Mazloom Ki Aahon Ke Shiraron Mein Rahun
Ashak Ban Kar Sir-e-Mazgan Se Atak Jaun MainKyun Na Uss Biwi Ki Ankhon Se Tapak Jaun Main
Jis Ka Shohar Ho Rawan Ho Ke Zrah Mein MastoorSooye Maidan-e-Dagha, Hub-e-Watan Se Majboor
Yaas-o-Umeed Ka Nazara Jo Dikhati HoJis Ki Khamoshi Se Taqreer Bhi Sharmati Ho
Jis Ko Shohar Ki Raza Taab-e-Shakeebai DeAur Nigahon Ko Haya Taqat-e-Goyai De
Zard., Rukhsat Ki Ghari, Aariz Gulgoon Ho JayeKashish-e-Husn Gham-e-Hijar Se Afzoon Ho Jaye
Lakh Woh Zabt Kare Par Main Tapak Ho JaunSaghir-e-Didah-e-Purnam Se Chhalak Ho Jaun
Khak Mein Mil Ke Hayat-e-Abdi Pa JaunIshq Ka Souz Zamane Ko Dikhata Jaun