رمزِ زندگیRamz E Zindagi

ايک پرندہ اور جگنو

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 12 sher · Roman Urdu ke saath

Sar-e-Shaam Aik Murhg-e-Naghma PairaKisi Tehni Pe Baitha Ga Raha Tha
Chamakti Cheez Ek Dekhi Zameen ParUrha Taeer Usse Jugnu Samajh Kar
Kaha Jugnu Ne O Murgh-e-Nawa Raiz!Na Kar Bekas Pe Manqar-e-Hawas Taiz
Tujhe Jis Ne Chehak, Gul Ko Mehak DiUssi Allah Ne Mujh Ko Chamak Di
Libas-e-Noor Mein Mastoor Hun MainPatangon Ke Jahan Ka Toor Hun Main
Chehak Teri Behisht-e-Gosh Agar HaiChamak Meri Bhi Firdous-e-Nazar Hai
Chamak Bakhsi Mujhe, Awaz Tujh KoDiya Hai Souz Mujh Ko, Saaz Tujh Ko
Mukhalif Saaz Ka Hota Nahin SouzJahan Mein Saaz Ka Hai Hum Nasheen Souz
Qayam-e-Bazm-e-Hasti Hai Inhi SeZahoor-e-Auj-o-Pasti Hai Inhi Se
Hum Aahangi Se Hai Mehfil Jahan KiIss Se Hai Bahar Iss Bostan Ki