Sukoot-e-Shaam Mein Mehv-e-Surood Hai RaviNa Puch Mujh Se Jo Kaifiat Mere Dil Ki
Payam Sajde Ka Ye Zair-o-Bam Huwa Kujh KoJahan Tamam Sawad-e-Haram Huwa Mujh Ko
Sir-e-Kinara-e-Aab-e-Rawan Khara Hun MainKhabar Nahin Mujhe Lekin Kahan Khara Hun Main
Sharab-e-Surkh Se Rangeen Huwa Hai Daman-e-ShaamLiye Hai Peer-e-Falak Dast-e-Raishadar Mein Jaam
Adam Ko Qafila-e-Roz Taizgaam ChalaShafaq Nahin Hai, Ye Suraj Ke Phool Hain Goya
Khare Hain Door Woh Azmat Fazaye TanhaiManar-e-Khawabgah-e-Shahsawar-e-Chughtai
Fasana-e-Sitam-e-Inqilab Hai Ye MehalKoi Zaman-e-Salaf Ki Kitab Hai Ye Mehal
Maqam Kya Hai, Surood-e-Khamosh Hai GoyaShajar,Ye Anjuman-e-Be-Kharosh Hai Goya
Rawan Hai Seena-e-Darya Pe Ek Safina-e-TaizHuwa Hai Mouj Se Mallah Jis Ka Garm-e-Sataiz
Subak Rawi Mein Hai Misl-e-Nigah Ye KashtiNikal Ke Halqa-e-Hadd-e-Nazar Se Door Gyi
Jahaz-e-Zindagi-e-Admi Rawan Hai YunhiAbad Ke Behar Mein Paida Yunhi, Nihan Hai Yunhi
Shikast Se Ye Kabhi Ashna Nahin HotaNazar Se Chupta Hai Lekin Fana Nahin Hota