رمزِ زندگیRamz E Zindagi

التجائے مسافر

Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 21 sher · Roman Urdu ke saath

Farishte Parhte Hain Jis Ko Woh Naam Hai TeraBari Janab Teri, Faiz Aam Hai Tera
Teri Lehad Ki Ziarat Hai Zindagi Dil KiMaseeh-o-Khizar Se Uncha Maqam Hai Tera
Nihan Hai Teri Mohabbat Mein Rang-e-MehboobiBari Hai Shaan, Ehtaraam Hai Tera
Agar Siyah Dalam, Dagh-e-Lala Zaar-e-TouwaamWagar Kushadah Jabeeneam, Gul-e-Bahar-e-Tawaam
Chaman Ko Chor Ke Nikla Hun Misl-e-Nukhat-e-GulHuwa Hai Sabr Ka Manzoor Imtihaan Mujh Ko
Chali Hai Le Ke Watan Ke Nigar Khane SeSharaab-e-Ilm Ki Lazzat Kushan Kushan Mujh Ko
Nazar Hai Abar-e-Karam Par, Darkht-e-Sehra HunKiya Khuda Ne Mohtaj-e-Baghban Mujh Ko
Falak Nasheen Sift-e-Mehr Hun Zamane MeinTeri Dua Se Atta Ho Woh Nardbaan Mujh Ko
Maqam Hum Safron Se Ho Iss Qadar AgayKe Samajhe Manzil-e-Maqsood Karwaan Mujh Ko
Dilon Ko Chaak Kare Misl-e-Shana Jis Ka AsarTeri Janab Se Aesi Mile Afghan Mujh Ko
Banaya Tha Jise Chun Chun Ke Khar-o-Khs Main NeChaman Mein Phir Nazar Aye Woh Asiyan Mujh Ko
Phir Aa Rakhun Qadam-e-Madar-o-Pidar Pe JabeenKiya Jinhon Ne Mohabbat Ka Raazdaan Mujh Ko
Woh Shama-e-Bargah-e-Khandan-e-MurtazviRahe Ga Misl-e-Haram Jis Ka Astan Mujh Ko
Nafas Se Jis Ke Khuli Meri Arzoo Ki KaliBanaya Jis Ki Marawwat Ne Nuktadan Mujh Ko
Dua Ye Kar Ke Khudawand-e-Asman-o-ZameenKare Phir Iss Ki Ziarat Se Shadman Mujh Ko
Woh Mera Yousaf-e-Sani, Woh Shama-e-Mehfil-e-IshqHuwi Hai Jis Ki Akhuwat Qarar-e-Jaan Mujh Ko
Jala Ke Jis Ki Mohabbat Ne Daftar-e-Man-o-TuHawaye Aysh Mein Pala, Kiya Jawan Mujh Ko
Riyaz-e-Dehr Mein Manind-e-Gul Rahe KhandanKe Hai Aziz Tar Az Jaan Woh Jaan-e-Jaan Mujh Ko
Shugufta Ho Ke Kali Dil Ki Phool Ho Jaye!Ye Iltijaye Musafir Qabool Ho Jaye!