انوکھي وضع ہے ، سارے زمانے سے نرالے ہيں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 8 sher · Roman Urdu ke saath
Anokhi Waza Hai, Sare Zamane Se Nirale HainYe Ashiq Kon Si Basti Ke Ya-Rab Rehne Wale Hain
Ilaj-e-Dard Mein Bhi Dard Ki Lazzat Pe Merta HunJo The Chhalon Mein Kante, Nok-e-Souzan Se Nikale Hain
Phala Phula Rahe Ya Rab ! Chaman Meri Umeedon KaJigar Ka Khoon De De Kar Ye Boote Main Ne Pale Hain
Rulati Hai Mujhe Raton Ko Khamoshi Sitaron KiNirala Ishq Hai Mera, Nirale Mere Nale Hain
Na Pucho Mujh Se Lazzat Khanaman Barbad RehneNasheman Sekron Main Ne Bana Kar Phoonk Dale Hain
Nahin Begangi Achi Rafiq-e-Rah Manzil SeTheher Ja Ae Sharar, Hum Bhi To Akhir Mitne Wale Hain
Umeed-e-Hoor Ne Sub Kuch Sikha Rakha Hai Waaiz KoYe Hazrat Dekhne Mein Seedhe Sadhe, Bhole Bhale Hain
Mere Ashaar Ae Iqbal! Kyun Pyare Na Hon Mujh KoMere Toote Huwe Dil Ke Ye Dard Angaiz Nale Hain